Kaanti
Kaanti ghar se chillate hue nikal gaya. Use ab ye roz roz ke taane ache nahi lag rahe the. Uski naukri chali gayi thi. Corona ke waqt na jaane aise kitne hi logon ne apni naukri se haath dho baithe the, lekin uski Ma ye samajhne ko taiyaar hi nahi thi. Har roz use taane deti thi - "Mere pasie se kha raha hai, mere paise se jee raha hai, sharam nahi aati ? Zaroor tune kuch kiya hoga office me , warna aise kaise nikal diya hoga? Sharamnahi aati hai pichle 6 maheene se ghar pe baitha hua hai?"
Ye har roz ki kahani ban chuki thi. Kaanti ne abhi shadi nahi ki thi. Karta bhi kasie, uski job jaane ke baad ladki walon ne mana kar diya. Na jaane kab job mile,uska bharosa nahi hai. Abhi maaf kar dijiye.
Kab tak aisa chalega maloomnahi. Kai jagah job ke liye apply kar chuka hu, kahin se koi jawab nahi aa raha. Sab jagah se sirf logo ko hata rahe hai ... main kya karun?
KYA KARNA CHAHIYE KAANTI KO ?
Comments
Post a Comment