Ghar
Na to uska mayka apna, nahi hi uska sasural. Na jaane uska apna ghar kaunsa tha. Aaj k daur me wo ek " Working Woman" hai lekin phir bhi use ye sab sunna padta hai "wo paraye ghar ki hai "
Phir uska apna ghar kaunsa hai ? Na to Ma Baap apne , Na pati apna , to phir uska apna kaun hai Bacche bade ho jaate hain, to bhi apne nahi rehte.. To uska jeena ka maksad kya hai ?
Use kuch paise bachaye the, Apna Ghar khareedne k liye. Lekin kya ghar sirf chaar deewaron se banta hai? Kahan hai uska ghar ??
Jahan sukoon mil jaaye wahi Ghar hai, chahe wo bheer ke beech ho ya chaar deewaron k beech. Jahan apne man me khushi ho, wo Ghar . Jahan chain se saans le sako, wo ghar. Jahan koi tumhara khhon ka pyaasa na howo Ghar. Chahe wahan insaan base na base , Jahan swarg sa mahsoos ho, wahi Ghar hai
Comments
Post a Comment