Posts

Showing posts from March, 2023

बेटी

Image
हम सोचते हैं, शहर में रहने वाले लोग, बहुत मॉडर्न है, बहुत खुली सोच वाले, बड़ी सोच वाले लोग होते हैं । लेकिन ये सिर्फ वहम है। इस शहर में रहने वाले लोगों ने शायद बेटी को पैदा होने से पहले मरना बंद कर दिया होगा लेकिन, उसके पैदा होने के बाद से, बड़े होने तक और मरने तक, उसे परेशान करना नहीं छोड़ा है। जिसके अपने घर में बेटी है, वो किसी किसी और की बेटी को दुखी करते है। जिसके अपने घर में बेटी है, वो किसी और की बेटी का शोषण करते हैं। इसी शहर में, इसी समाज में।  अगर उसकी बेटी अपने पति का घर छोड़ आई, तो न जाने कितने बहाने देते हैं, और किसी और की बेटी अगर आई, तो न जाने कितने सवाल खड़े करते हैं । इसी शहर में , इसी समाज में।  बेटी , शादी न करे तो घरवालों के ताने , शादी कर ले तो ससुराल वालों के ताने । अकेली रहे तो हर तरफ से लोग अलग अलग अलग तरीके से परेशान करते हैं।  हर बार चरम अपराध करना, बस यही खबर और अखबारों में आता है , लेकिन ये जो छोटे छोटे अपराध है ? मानसिक प्रतर्णा हैं ? इन्हे कोई नही लिखता । इन्हे तो बस एक बेटी को सहना पड़ता है ।  जब भी कोई चरम अपराध की खबर आती है , हम पूछते...

Ghar

Image
  Na to uska mayka apna, nahi hi uska sasural. Na jaane uska apna ghar kaunsa tha. Aaj k daur me wo ek " Working Woman" hai lekin phir bhi use ye sab sunna padta hai "wo paraye ghar ki hai " Phir uska apna ghar kaunsa hai ? Na to Ma Baap apne , Na pati apna , to phir uska apna kaun hai  Bacche bade ho jaate hain, to bhi apne nahi rehte.. To uska jeena ka maksad kya hai ? Use kuch paise bachaye the, Apna Ghar khareedne k liye. Lekin kya ghar sirf chaar deewaron se banta hai? Kahan hai uska ghar ??  Jahan sukoon mil jaaye wahi Ghar hai, chahe wo bheer ke beech ho ya chaar deewaron k beech. Jahan apne man me khushi ho, wo Ghar . Jahan chain se saans le sako, wo ghar. Jahan koi tumhara khhon ka pyaasa na howo Ghar. Chahe wahan insaan base na base , Jahan swarg sa mahsoos ho, wahi Ghar hai

Kaanti

Image
Kaanti  ghar se chillate hue nikal gaya. Use ab ye roz roz ke taane ache nahi lag rahe the. Uski naukri chali gayi thi. Corona ke waqt na jaane aise kitne hi logon ne apni naukri se haath dho baithe the, lekin uski Ma ye samajhne ko taiyaar hi nahi thi. Har roz use taane deti thi - "Mere pasie se kha raha hai, mere paise se jee raha hai, sharam nahi aati ? Zaroor tune kuch kiya hoga office me , warna aise kaise nikal diya hoga? Sharamnahi aati hai pichle 6 maheene se ghar pe baitha hua hai?"  Ye har roz ki kahani ban chuki thi. Kaanti ne abhi shadi nahi ki thi. Karta bhi kasie, uski job jaane ke baad ladki walon ne mana kar diya. Na jaane kab job mile,uska bharosa nahi hai. Abhi maaf kar dijiye.  Kab tak aisa chalega maloomnahi. Kai jagah job ke liye apply kar chuka hu, kahin se koi jawab nahi aa raha. Sab jagah se sirf logo ko hata rahe hai ... main kya karun?  KYA KARNA CHAHIYE KAANTI KO ?